Tu Jo Chule Pyar Se Lyrics penned by Kailash Kher, from the album Jhoomo Re, Tu Jo Chule Pyar Se sung and composed also by Kailash Kher.
Tu Jo Chule Pyar Se Lyrics
Heere moti main na chaahoon
Main toh chaahoon, sangam tera
Main toh teri…saiyyan
Tu hai mera
saiyyan saiyyan
Tu jo chhoo le pyaar se
Aaraam se mar jaaoon
Aaja chanda bahon mein
Tujh mein hi gum ho jaoon main
Tere naam mein kho jaaoon
Saiyyan saiyyan
Mere din khushi se jhoome, gaaye raatein
Pal pal mujhe dubaaye jaate jaate
Tujhe jeet jeet haaroon
Yeh praan praan varoon
Hay aise main nihaaroon
Teri aarti uthaaroon
Tere naam se jude hai saare naate
Saiyyan … saiyyan…
Banke maala prem ki
tere tan pe jhar jhar jaaoon
Baithoon naiya preet ki
Sansaar se thar jaaoon main
Tere pyaar se thar jaaoon
Saiyyan… saiyyan…
Yeh naram naram nasha hai badhta jaaye
Koi pyaar se ghungatiya deta uthaaye
Ab baawra hua mann
Jag ho gaya hai roshan
Yeh nayee nayee suhaagan
Ho gayee hai teri jogan
Koi prem ki pujaaran mandir sajaaye
Saiyyan … saiyyan…
Saiyyaaaan…saiyyaan
Heere moti main na chaahoon
Main toh chaahoon sangam tera
Main na jaanu, tu hi jaane
Main toh teri, tu hai mera
Main na jaanu, tu hi jaane
Main toh teri, tu hai mera
Main toh teri … tu hai mera